सौचालय के लिए मोबाइल से आवेदन: सीधा पैसा आपके बैंक में!

Es article me aapko bataya hai Sochalay Ke Liye Aavedan kaise Kare or apne ghar baithe apne mobile se shauchalay list mein apna naam kaise jor sakte hai, ye post unlogo ke liye kafi helpful sabit hoga jinke village ya city mein Sarkari Dalaal rahte hai, jinhe Sarkar Ke dwara Koi rupya milta hai to vah Dalal bhi us Rupiya me apna hissa mangte Hai,

Agar Is tarah ke karname aapke bhi village ya city mein hote hain, to aap is artical ko acchi Tarah Se Padhna, Kiyoki is article Me maine aapko bataya hai ki Sochalay Ke Liye Aavedan Kaise Kare Or aap shauchalay ke liye Kis Tarah se aavedan karenge ki shauchalay banvane ke liye Sarkar dwara diya gaya 12000 ka rupees aapke sidhe Bank Account mein hi aaye ! is beech kisi bhi tarah ka koi Dalali nahi hoga

to chaliye bina time west kiye main aapko batata hu ki aap kis tarah se apne mobile se shauchalay ke liye aavedan karenge

Sochalay Ke liye Aavedan Kaise Kare

aapko apne mobile mein kisi Google browser ko open karna hai

for example:- Chrome Browser, UC Browser, Opera Mini, Firefox, e.t.c.

in sabhi mein se kisi ek browser ko open kar lena hai aur uske bad search bar mein type karna hai Swachh Bharat Urban Fir search karna hai, to aapke samne yah page so hoga!

yahan par aapko IHHL wale option par click karna hai, fir aapke samne Swachh Bharat Urban ka Official site open hoga jiska interface kuchh Is trah se show hoga

is website main aapko sabse pahle login ID or password create karna hoga! uske bad hi aap shauchalay ke liye aavedan kar payenge

Login ID & Password Kaise Create Kare ?

Login ID aur Password banane ke liye aapko Applicant Login ke Page Ke Niche aapko New Applicant ka option najar a raha hoga, to aapko us par click karna hai! click karne ke bad aapke samne yah page so hoga

Yahan per sabse pahle aapko upyukt form ko fill karna hoga

1. Name :- name main aapko apna vah naam dalna hoga, jo aapke Aadhar Card per hai, Aadhar card ke anusar hi apna naam dalen

2. Mobile No :- Yahan per aapko apna mobile number dalna hoga! jis per ek OTP jaega

3. Email :- Yahan per aapko apna email id dalna hoga

4. Address :- yahan per aapko Apne Aadhar card ke anusar address dalna hai, jo aapke Aadhar Card per Hain wahi Address dalen

5. State :- Yahan per aap apna state select Karen

6. ID Type :- ismein aapko us id ka naam select karna hoga, jo aapke pass hai, jaise ki PAN Card Voter Card Passport, Aadhar Card agar inme se koi bhi ID Card aapke pass hai to! wa aap select kar Lijiye

7. ID Number :- Yahan per aap ID Type mein jo select kiya hai, uska number yahan per dalna hoga

8. Enter The Coad :- ismein aapko captcha fill karna hai

Uske bad register per click karna hai, thoda wait karne ke bad aapka Login ID show hoga! Login ID ko Copy karke yah screenshot lekar rakh lena hai

Password Generate Kaise Kare

password generate karne ke liye aapko Applicant Get One Time Password per aapko click karna hai/ click karne ke bad aapke samne yah page show hoga

1. Login ID :- Yahan per aapko apna login ID ko copy karke Past karna hai

2. Email :- Yahan per aapko apna vah Email ID dalna hoga, jo aapne register karte samay dala tha

Fir captcha fill karne ke bad Send One Time Password par click kar dena hai, to aapke Email ID aur aapke mobile number per ek SMS aaega jismein aapka Password hoga

To aap Is tarah se apna Login ID & Password generate kar sakte ho, ab main aapko bataunga ki aap kis tarah se shauchalay ke liye aavedan karenge

sochalay ke liye aavedan karne ke liye ye aap ko sabse pahle Applicant Login wale  a page mein apna Login ID & Password dalkar Login kar lena hai, fir aapke samne Is tarah ka Form open hoga, aapko is Form ko dhyan purvak fill karna hai, kahin par kisi bhi tarah ka galti nahi karna

(A) Geographical Particular

1. State :- Yaha par aap Apna state select karenge

2. District :- Yaha par aap jis district me rahte hai wo district select karenge

3. ULB Name :- Yaha par aap jis block me rahte hai wo block select kare

4. Ward No :- Yaha par aap apna ward no select kare

(B) Toilet Owner Particular

1. Name Of Applicant :- Yaha per jo aapke Aadhar Card mein naam hai same vahi naam yaha per dalen

2. Gender :- Yahan per aap gana Aurat hai to Female ya agar aap Man hai to Male select karen

3. Father/Husband Name :- Yahan per aap apne father ya husband ka naam dalen

4. Mobile No :- Yahan per aap apna mobile number dalen

5. Residential Address :- Yahan per aap vah Adress dalen, jo aapke Aadhar Card mein hai

6. Status Of Exiting Toilet :- Yahan per aap Insanitary Latrine select karen

7. Aadhaar Linked :- Yahan per pahle se No par click Kiya Hua aaega, to aapko ghabrane ki jarurat nahi hai aap No hi rahane dijiye

8. Do You Have Aadhar No:- Yahan per agar aapke pass Aadhar Card hai to yes select karen, agar nahin hai to No select Karen

9. Aadhaar No :- Yahan per aap apna Aadhar number dalen

10. Do You Want To Avail Bulk Construction :- Yahan per Agar aapke pass pahle se Latrin bana hua hai to aap Yes select karen agar nahin hai to No select karen

Bank Account Details

11. IFSC Coad :- Yahan per aap apne Bank ka IFSC code dalkar search kare

12. Account No :- Yahan per aap apne bank account number dalen

13. Confrom Account No :- Yahan per aap apne Bank Account ka number dobara dalen

14. Passbook First Page Scanned Copy :- Yahan per aap apne Bank passbook ke first page ka photo copy apne mobile se khinch kar dale, dhyan rahe photocopy ka size kam se kam 100kb se kam hona chahie

15. Photograph Of Applicant :- Yahan per aap apna photo, apne mobile se khinch kar dale, dhyan rahe ismein bhi aapke photo ka size kam se kam 100kb ke bich hi rahana chahie

Uske bad niche main aapko I Agree wale option per check mark karke Apply kar dena hai
fir aapke samne Is Tarah ka page open hoga

to ab aapka Registration Successful ho chuka hai, ab aap ka naam 2 se 3 months ke andar aapka naam Sochalay List mein jod diya jayega

Conclusion

Sarkar dwara shauchalay banvane ke liye milane wala 12000 ka rupya aapke sidhe Bank Account mein aa jayega es bich kisi bhi prakar ka koi Dalali nahin hoga, aur aap apna Rupees apne bank se asani se nikal payenge

so aaj ke es article maine aapko bataya hai ki Sochalay Ke liye Aavedan Kaise Kare agar yah artical aapko helpful laga to aap hamen Follow jarur kar lena, Es article se related agar aapke man mein koi bhi question ho to is article ke niche comment box mein hamen jarur batana main reply karne ki puri koshish karunga

1 thought on “सौचालय के लिए मोबाइल से आवेदन: सीधा पैसा आपके बैंक में!”

Leave a Comment